Thursday, November 3, 2011

Qurbani - Sacrifice


Eid-ul-azha qareeb aa raha hai, sab se pehle to meri traf se forum muslims ko aur tamam ahle watan ko advance Eid Mubarak.

Eid-ul-azha Hazrat Adam AS k bête Hazrat Ismail AS ki qurbani ki yaad main manaie jaati hai, aur usi qurbani ko taza rakhne k lie har sahib-e-istita’at muslim par (Halal) janwar ki qurbani wajib ki gaie hai.

Wese to har muslim es din qurbani k lie koi na koi janwar qurbani k lie maidan main late hain, lekin bohot kam khush naseeb log hote hain jin ki qurbani Allah ko qabool hoti hai, ho sakta hai k main ne ye sentence likh kar ghalti ki ho lekin aaj kal k halaat aur logon ki niaton ko dek kar aisa lagta hai k shaied aisa hi hota hai.


Allah ko ye nahi chahie k flan Muslim ne kitna bara janwar aur kitna mehnga janwar qurban kia, balke Allah ko qurbani karne wale Muslim ki neek niat manzoor hoti hai. agar koi b shakhs Eid k din es niat k saath qurbani kare k society aur neighbors main us ki hesiat oonchi ho jaie to aisi qurbani Allah ko bilkul manzoor nahi hai. agar esi niat se qurbani kar di jaie k ye Allah ka hukam hai aur es se sawab mile ga to chahe wo kitni b choti qurbani q na ho, Allah ko un sab qurbanion se aziz hoti hai jo dikhawe k lie ki gaie ho. Hazrat Muhammad SAW ka irshad hai,” jis ne Eid k din jis janwar ki qurbani kar di Allah us bande ko itni neekian deta hai jitna k us janwar par baal (hairs) hote hain. MISHKAT

Qurbani kin logon par wajib hai?

EID k din qurbani har us mulim par wajib hai, jis k paas 52.5 toole chandi ya es ki barabar ki maliat ho, aur es par ek saal guzar jaie to us par qurbani wajib hoti hai, ye maliat wo hoti hai jo ghareelo akhrajat ya karoobar se mustasna ho. Aur agar aisi raqam ya maliat )jo k karoobar aur ghareelo akhrajat se mustasna ho), Eid ki din kisi muslim k haat aaie tab b us par qurbani wajib hoti hai.

Qurbani k gosht ka kia karna chahie?

Hazrat Muhammad SAW k irshad k mutabiq qurbani k gosht ko 3 hisson main taqseem kia jaie, ek hissa apni family aur ahl o aiaal k lie rakh le, ek hissa un ghareeb rishta daaron ko dia jaie jo qurbani karne ki istita’at na rakhte hon aur teesra hissa neibhors main un ghareeb aur miskeeen Muslims par taqseem kia jaie jo qurbani ki istita’at na rakhta ho.

Qurbani kese janwar par karni chahie?

Qurbani k lie har us four footed janwar ko qurban kia ja sakta hai jo k islam main Halal qarar dia gaia ho, i.e goat, sheep, cow, camel etc etc.

Qurabni ka tareeqa

Eid-ul-Azha ki qurbani 1, 3, 5, ya 7 hisson main ki jaati hai, i.e ek janwar ki qurbani 1 se le kar 7 hisson tak ki jasakti hai. goat aur sheep ki qurbani sirf ek hissa main ho sakti hai, es main 3rd, 5th ya 7th hissa nahi ban sakta, albata baqi cases main aisa ho sakta hai.

Ahtiat

Qurbani karte waqt darja zel ahtiat ki zaroorat hoti hai.

Ø Koshish ye karni chahie k qurbani karte waqt janwar ka sar qible ki taraf ho
Ø Multiple hisson main qurbani karte waqt ye khaas khayal rakhna chahie k qurbani karne walon main se kisi ki b niat main khoot na ho, warna aise ek bande ki niat saari qurbani mutasir karti hai.
Ø Multiple hisson main qurbani karne walon ko extra sawab hasil karne k lie har ek member ko chahie k wo Zabha k baad janwar k garden par knife ragar le.

No comments: