bismillah ar rehman arrahim Niyat karta hu mai namaz eid ul adha ki 6 zaae takbiro ke sath waaste allah ke muh mera kaabe sharif ke taraf..
allah hu akbar kehkar haath baandhle aur sana padhle..
Pehli Takbir hogi isme allah hu akbar kehkar dono haath kaano tak utha kar chod de..Dusri Takbir hogi isme firse allah hu akbar kehkar dono haath kaano tak utha kar chod de.. Fir
tisri takbir me dono haath kaano tak utha kar chode Nahi dono haath baandhle Fir surat padhi jaaegi fir ruku sazda hoga fir dusri rakat ke liye khade ho jaayege
dusri rakat me surat padhi jaaegi aur ruku me jaane se pehle firse 3 zaye takbir hogi
pehli takbir allah hu akbar kehkar dono haath kaano tak uthakar chodde dusri baar bhi waisi hi kare tisri takbir me bhi waise hi kare
chauthi takbir me sidha ruku me chale jaaye aur Namaz poori karle aur dua maangle..
apne janwar ka Muh kiblah ki Taraf rakh kar hi janwar zubah kare Use kurbani se pehle hathiyar Na bataae aur Uski Taraf Mohabat wali rehmat wali Nigah se dekhe kyu ki wo allah ka Mehman hai.. Hazrat ismail a.s Ne afsos jataya jab Unke badle us dumbe ko jo jibrail a.s jannat se lekar aae the Use dekhkar Unhone Ye kaha Mere habib Ne Mujhe kabul Nahi kiya aur Unki aakho se aasu behne lage.. Aur ye Mohabat aur Ye iNtesari dekhkar jibrail a.s Ne kaha "allah hu akbar allah hu akbar Fir ibrahim a.s Ne laa ilaha illallahu allah hu akbar Fir ismail a.s Ne kaha allah hu akbar walilail hamd" aur is dua ka apne pyaare rasul Ne humtum par Ye padhna wajib kardiya..
Bismillahi allah hu akbar keh kar hi zuba kare Bismillah ar rehman ar rahim kehkar Nahi ye baat ka khayal rakhe.. a.s eid Mubarak.
No comments:
Post a Comment