Tuesday, August 17, 2010

MAAH-E-RAMZAN kI DUAS

DUA:

Aey Allah,

Humein Maah-e-Ramzan kay liye Salamat rakh, aur hamaray liye Rehmat bana, aur hamaray liye Maqbool bana, aur hum sab ko Maaf ferma, Aameen

----------------------------------------------------

Woh Sehri ka Maza

Woh Iftar ki Bhook

Woh Quran ki Tilawat

Woh Namaz ka Mamool

Woh Rozay ki Barkat

Woh Rozay ka Noor

Kuch hi din door

Phir hoga Maaah-e-Ramzan-e-Pur-Noor

----------------------------------------------------

Allah Taalah fermata hey:

Aey Habib SAWAW,

Agar Mujhay teri ummat ko dozakh mein jalana hota tou unhein Maah-e-Ramzan jesi neymat ata nahi kerta.

----------------------------------------------------

Maula Rasoolallah SAWAW said:

Shaban mera maheena hey, Rajab Allah ka maheena hey, aur Ramzan meri ummat ka maheena hey. Shaban gunahon ko mitanay wala, aur Ramzan pak kernay wala hey, Shaban ka maheena Ramzan aur Rajab kay darmiyan hey, log is ki azmat-o-ehmiyat se ghafil hain, is mein bandon kay aamaal Perwardigar-e-Aalam ki Bargah mein uthaye jatay hain, lihaza mein chahta hoon kay jab meray aamaal uthaye jaen tou mein rozay ki halat mein hoon.

----------------------------------------------------

Maula Rasoolallah SAWAW said:

Jis ne Ramzan kay rozay emaan kay sath aur sawab ki neeyat se rakhay, us kay pichlay gunah maaf ker diye jatay hain.

Reference: Sahi Bukhari, Kitabus Soum-1901

----------------------------------------------------

Maula Jafar-e-Sadiq ASWS said:

Ramzan na kaha karo, Maah-e-Ramzan kaha karo, kyun kay Ramzan bhi Allah kay Naamo mein se ek Naam hey.

----------------------------------------------------

Almighty Allah bless all Momineens with lots of Ilm-o-Taqwa, Tawakkal-o-Muwaddat-o-Marafat, Love, Health, Wealth, Happiness, Joy, Success and Prosperity, in Sadqa of Muhammad-o-Aal-e-Muhammad ASWS, Aameen.



Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa Ajjil Farajahum, Ajjal Allahu Taalah Farajak, Wa Sehlallahu Taalah Makhrajak, Wa Zahoorak Wa Rehmatullahey Wa Barakatu



Take good care, have blessed days and nights,



Iltemas-e-Dua,



Allah Hafiz & Maula Waris



Maula Ali (ASWS) said:
When I want to talk to the Almighty Allah, I offer Namaz
When I want the Almighty Allah to talk with me, I read Quran-e-Pak


Rabbay Sallay Ala Muhammadin Wa Aal-e-Muhammadin Wa-Ajjil Farajahum, Ajjal Allah o Ta’alah Farajak Wa Sehal Allaho Ta’alah Makhrajak Wa Zahoorak Wa Rehmatullah-e-Wa-Barakatahu

No comments: